Wednesday, March 14, 2012

::::|| VU ||:::: kisi ki aankh jo

 

 

kisi ki aankh jo purnam nahi he
na samajho ye k us ko gham nahi h
e

sa
waad-e-dard men tanhaa kharha hoon 
pala
t jaoon magar mosam nahi he

samajh me
n kuch nahi aata kisi ki 
agarche guftag
oo mub_ham nahi he

sulagta kyu
n nahi taareek jangal 
talab ki lau agar madh
'ham nahi he

ye basti hai sitam par
war digaan ki
yaha
n koi kisi se kam nahi he 

kinara d
oosra dariya ka jese 
wo sathi he magar mehram nahi he 

dilo
n ki roshni bujhne na dena 
wajood-e-teergi muhkam nahi he 

m
en tum ko chaah kar pach'taa raha hoon 
koi is za
khm ka marham nahi he 

jo koi
sun sake Amjad to dunyaa
bajuz ik baaz gasht-e-gham nahi h
e

Thanks
Best Regards,
Dr. Muhammad Kashif Mahmood.
MD / FP

Al-Mustafa Medicare
E-mail address:
dr.mkm12@gmail.com
Mobile # +0092-308-7640486.

 

No comments:

Post a Comment