Wednesday, March 14, 2012

::::|| VU ||:::: khwaab nagar

 

 

 

Khwaab-nagar he aankhen khole dekh raha hoon
us ko apni jaanib aate dekh raha h
oon

kis ki aaha
t qarya qarya phail rahi he
d
eewaaron ke rang badalte dekh raha hoon

kaun m
ere jaadoo se bach kar jaa sakta he!
aa
eina hoon, sab ke chehre dekh raha hoon

dar
waze par tez hawaaon kaa pehra he
ghar ke andar chup ke saae dekh rahaa h
oon

j
ese mera chehra mere dushman ka ho
aa
eine men khud ko ese dekh raha hoon

manzar manzar v
eerani ne jaal taanne hen
gulshan gulshan bikhre patte dekh raha h
oon

manzil manzil haul me
n Doobi aawazen hen
rastaa rastaa Kh
of ke pahre dekh raha hoon

shehr-e-sa
ng dilaan men Amjad har raste par
aa
wazon ke pathar chalte dekh raha hoon

Thanks
Best Regards,
Dr. Muhammad Kashif Mahmood.
MD / FP

Al-Mustafa Medicare
E-mail address:
dr.mkm12@gmail.com
Mobile # +0092-308-7640486.

 

No comments:

Post a Comment