Friday, May 6, 2011

::::|| VU ||:::: Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane





Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe chhod ke jane ke liye a
Pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a
Kis kis ko batayen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye a
Kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a
Ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi mahroom
aye rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a
Ab tak dil-e-khush faham ko tujh se hain ummeedain
ye akhiri shamain bhi bujhane ke liye a
Mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a
Jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a



Ahmad Faraz
__________________
--
when A person is afraid of  
somthinG then hE goes away FRom
iT But
if A person fears
ALLAH he comes near to
ALLAH

     

..*..*.. ρακɛɛʓα..*..*..


       


--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.VusCool.com
and www.VUGuys.com
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en

No comments:

Post a Comment