Wednesday, March 9, 2011

Re: ::::|| VU ||:::: Poetry



Chali hai shehar mein kaisi hawa udasi ki
Sabhi ne aurh rakhi hai rida udasi ki

Libas-e-ghum mein to woh aur ban gaya qatil
Saji hai kaisi,kisi par quba udasi ki
...
Ghazal kahoon to khayalon ki dhund mein mujh se
Kare kalam koi apsara udasi ki

Khayal-e-yaar ka ka badal agar khila bhi kabhi
To phool phel gai ja baja udasi ki

Bohat dino se teri yaad kyun nahin aayi
Woh meri dost meri humnawa udasi ki

Faraz ne tujhe dekha to kis qadar khush tha
Phir us ke baad chali woh hawa udasi ki.........

--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.VusCool.com
and www.VUGuys.com
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en

No comments:

Post a Comment