Monday, September 5, 2011

::::|| VU ||:::: ~~Ab Kis Ka Jashan Manatay Hu Os Desh Ka Ju Taskeen Hua~~

Ab Kis Ka Jashan Manatay Hu Os Desh Ka Ju Taskeen Hua

Aab kis ka jashan manatay hu us des ka ju takseen hua
ab kis ke geet sunatay hu us tan maan ka ju du neem hua

un khaboo ka ju reza reza un ankhoo ki taqdeer hua
os nam ka ju tokra tokra ju galeyu may be tuqeer hua

us parcham ka jis ki hurmat bazron may nelam hui 
us mitti ka jis hurmat mansoob uda ka nam hui

us jang ju hum har chukay us rasam ka ju jari bhi nahi 
us zakham ka ju senay pe na tha or jan ka ju wari bhi na thi

us kho ka ju badkismat tha rahon may bahaya tan may rahaa 
us phool ka ju beqemat tha aangam may khila ya baan may raha

us mashriq ka jis ko tum ne nezaa ki ani marham samjha 
us magreb ka jis ko tum ne jitna bhi loota kam samjha


un masoomo ka jin k lahoo se tum ne farozaa raatain ki
yaa un mazloomo ka jin se khanjer ki zubaa may batain ki

us mariyam ka jis ki iffat luti hai bhare bazaroo may 
us iisa ka ju qatil hai or shamil hai ghamkharoo may

iin gunahgaro ka jis ne hamay khud qatal kiya khud rote hain 
esaay bhi kahin daamsaaz huay easaay jalaad bhi hotay hain

un bhukey nangay dhanchoo ka ju raqa sar e bazar kerain
yaa un zalum qazzaaqo ka ju bhes badal ka war kerain

ya un jhutay iqraroo ka ju aj talak effa na huay
ya un bebas lacharoon ka ju or bhi dhuk ka nishaana huay

iis shahi ka ju dast ba dast aai hai tumharay hissay may 
kyun nanr e watan ki baat kero kya rekha hai ise qisse may

aankhoo may chupay ashakoo ko honthoo may wafa k bool leyai
ise jasham may bhi shamil ho nauhoo se bhara kashkol leyai

--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.VusCool.com
and www.VUGuys.com
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en

No comments:

Post a Comment