Monday, August 8, 2011

::::|| VU ||:::: ~~ Some Poetry Collection ~~

Fikar-e-Farda...
Na Yaad-e-Maazi...
Na Chain Dil Ko...
Na Be-qarari...
Na Hadh Se Guzra Hua Junoon Wo...
Na Khamoshi Wo Pehle Jesi...
Bus Ek Udasi Hai Dheemi Dheemi.....
Bus Ek Khamoshi Hai Be-Qarari....

Jo Zindagi Ke Adhure-pan Ko Hado'n Se Aagey Barha Rahi Hai....!

-------------------------------------------------------------------------

Boht farsuda lagte hain muje ab yaar ke qisse
Gul-o-gulzar ki batain lub-o-rukhsar ke qisse

Bhala ishq-o-mohabt se kisi ka pait bharta hai
Suno! tum ko sunata hoon main karobar ke qisse

Mere ahbab kehte hain yahi ik aib hai mujh main
Sar-re-deewar likhta hoon pass-e-deewar ke qisse

Main aksar is liye logon se ja kar khud nahi milta
Wohi bekar ki batain wohi bekar ke qisse


--

Doob Jaa Ishq-E-Khuda Mein Sab Kuch Bhool Kar

Kis Ne Paayi Hai Yeh Duniya Ki Mohabbat Jo Tu Paaye Ga..!!


             
     <<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>> 


--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.VusCool.com
and www.VUGuys.com
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en

No comments:

Post a Comment