Friday, August 26, 2011

::::|| VU ||:::: Mai Aj Zabaan Say Nahi Dil Say BoltA Ho

 
 
 
 
Tanha Karimchalo guzray barson ke kitab kholta hon
mayn aj zuban say nahi dil say bolta hon
ab ghoar say sunna khani meri
sub say chupaye thi wo nishani meri
ek roz yun hoa meri amma nay pass bulyea mujhe
apnay kandhay per sar rakh k lityea mujhee
wo kuch khena chate thean magar khamosh thean
ankhyean nam thean un ke or wo madhosh thean
mayne kaha amma ap kuch bolte kuean nahi
apnay lafzon say mujhee tatolte kuean nahi
kuean khamosh hayn kya naraz hayn mujh say
apni awaz meray kanoo mayn kuean gholte nahi
phir esay he khamoshion mayn ghanton guzar gaay
ankhon say meri ansson bhe barha ubhar gaay
esay he khamoshion mayn kuch din bhi beet gaay
mayn har gayea un k khamosh labon say
or ghum k saye meri khushion say jeet gaay
ek roz mujh per karb k pahar toote gaay
esa laga k mohabaton k rishtay choaat gaay
mujhee batyea gayea meri amma bol nahi saktean
apni awaz meray kanoon mayn ghoal nahi saktean
din-o-raat unho nay pala tha mujhee
apni aghosh may barson sambhala tha mujhee
apnay haton per sar rakh ker sulate thean mujhee
apnay haton say he khana khilate thean mujhee
jawani ko pocnha to mera nam bhe bhool gayean
or dard ke hawaian meray hartaraf jhol gayean
phir bhi un ko dekh k jeeta tha mayn
apnay dard phir khud seeta tha mayn
phir meray Allah ko mujh per taras agyea
kushion ka mossam aglay baras agyea
ajnabi logon mayn ek dost milgayea
esa laga k mujhe wapis hosh milgyea
meray ghum appnay haton say bun deay us nay
meri zaat say saray kantay chun deay us nay
pata nahi ek roz say mayn usay chanay laga tha
apni mohabaton ka usay KHUDA bananay laga tha
har manzil ko choar deya tha mayne
apnay he ap ko tore deya tha mayne
ek roz asma nay kaha tha mujh say
 ab tum bachay nahi rahay
tumahray khuwab abb kachchay nahi rahay
meri dosti ka haq nibha sako to nibha dena
apnay raston per ILM ke shama bicha dena
mane wada keya tha us say ab mehnat karon ga
amma or tumahray cheray ko khushion say bharon ga
us ko ishq ke hadoon per chanay laga tha may
apni amma ko bhe uss k tazkaray sunanay laga tha may
wo bol nahi saktean thean magar muskorate thean
meray cheray ke khile hoye rangant dekh ker
meri amma ke ankhyean bhi muskorate thean
kehtay hayn mohabat nadan nahi hote
jiss say hojaye us k siwa kise ke pechan nahi hote
zindagi ka mehvar do logo ko bana ker
mayne apnay cheray per khushian saja ker
band ankhon say bohat say khuwab dekhay thay
magar phir kismat meray sath khud ko dhohra gaye
meri amma ko meray Allah nay appnay pass bula leya
un ko matti k andar sula leya
may ise ghum say bahar nahi nikla tha k ek din
meray ishq nay dosti ka rishta bhe mujh say chohrra leya
buss khuda say mil k dua kertay hayn
aye khuda apnon ka sath kabhe na chotay
aye khuda kise k jism ke roh us say na rothay
kosore war hon mayn saza deay raha hay wo
meray ansson may aks ban ker beh raha hay wo

Posted on Friday, February 16 @ 23:12:17 PKT


--
 
 ""MJEH DOST CHOOR JAEN SAB, KOE MEHERBAN NA POCHE
MJE MERA ALLLAH HI KAFI MJE KUL JAHAN NA POCHE""
 
 

 

اس سے بہتر کس کی بات ہے جس نے لوگوں کو نیکی کی طرف بلایا، خود بھی نیک کام کۓ اور کہا کہ بے شک مسلمانوں (خدا کے فرماں برداروں) میں سے ہوں

 

--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.VusCool.com
and www.VUGuys.com
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en

No comments:

Post a Comment