Monday, February 28, 2011

::::|| VU ||:::: ~~ Ajnabi ~~

Chand Suraj or tare Ajnabi
ik Musafir sab Nazare Ajnabi
Mojza hai Gardish-e-Halaat ka
Shehar apna Log sare Ajnabi
Ajnabiat ka Taluq khoob hai
Hum tumhare Tum hamare Ajnabi
Jaan ke Dushman Hamare Aashna
Or Aashna Sare ke saare Ajnabi
Wo jisay hum ne kabhi Pehchan di
Aaj wo Hum ko Pukaray Ajnabi


Main osay kesay chor doon, is rah main, 

Sath jo chalta raha , majborion k baad bhi, 

Ban k khusboo rach gaya ha yun, meray ehsaas main, 

Door ho paya nahin, woh doorion k baad bhi, 

Rafta rafta os ko bhi ye duniya, raas a gai, 

Muskura k mila ha wo , ranjeshon k baad bhi, 

Faslay kab kam hoye hain , raabton k baad bhi, 

Ajnabhi thay ajnabi hain, mohabbat k baad bhi.


Ajnabi si raahon ka 
Ajnabi musafir aik 
Mujh say pooch betha hai 
Raasta bata do gay? 

Ajnabi si rahon kay 
Ajnabi musafir sunn 
Rasta koi bhi ho 
Wasta koi bhi ho 
Manzilein nahin miltein 
Manzilein to dhoka hain 
Manzilein jo mil jaain 
Justaju nahin rehti 
Zindagi ko jeenay ki 
Aarzoo nahin rehti 

--

                <<<<<<< sAd pAncHi >>>>>>>

             

--
For study materials, past papers and assignments,
Join VU School at www.VusCool.com
and www.VUGuys.com
CoooL Virtual University Students Google Group.
To post to this group, send email to coool_vu_students@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/coool_vu_students?hl=en

No comments:

Post a Comment